Showing posts with label Poetry Korner. Show all posts
Showing posts with label Poetry Korner. Show all posts

Wednesday, February 09, 2011

Woh jo dil mai tera muqaam hai.

Wo jo dil main tera maqam he kisi aur ko wo dya nahin
wo jo rishta tujh se he ban gya kisi aur se wo bana nahin

wo jo pyar tujh se ho gya kisi aur se wo hua nahin
wo jo raaz tujh se he keh dya kisi aur se wo kaha nahin

wo jo sukh mila teri zaat se kisi aur se wo mila nahin
tu basa he aankhon main js tarah koi aur aisy basa nahin

tu hua he jitna qareeb tar koi aur itna hua nahin
tera naam dil main he jis tarah koi naam aisy likha nahin

Nahi likhna.

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Puranay rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Anaa se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe kharii hoon
mujhe mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaana chaho, na mitay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

Thursday, May 06, 2010

Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijab Say Aagay Nahi BaRha
Main "Aap", Woh "janab" Say Aagay Nahi BaRha

Muddat Hui Kitab e Mohabbat Shuru Kiye
Lekin Main Pehle Baab Say Aagay Nahi BaRha

Lambi Musaftain Hain Magar iss Sawar ka
Paon Abhi Rakab Say Aagay Nahi BaRha

Logon Nay Sang o Khisht K Qill'ay Bana Liye
Apna Mehel To Khuwab Say Aagay Nahi BaRha

Tool-e-Kalaam K Liye Main Nay Kiye Sawal
Woh Mukhtasar Jawab Say Aagay Nahi BaRha

Woh Teri Chaal Dhaal K Barey Main Kia Kahey
jo Apnay Ehtasab Say Aagay Nahi BaRha