Friday, May 07, 2010

Ghum

Zabt-e-ghum is qadar asaa'n nahi Faraz,
Aag hotey hain woh ansu jo peyay jatey hain..

Thursday, May 06, 2010

Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijab Say Aagay Nahi BaRha
Main "Aap", Woh "janab" Say Aagay Nahi BaRha

Muddat Hui Kitab e Mohabbat Shuru Kiye
Lekin Main Pehle Baab Say Aagay Nahi BaRha

Lambi Musaftain Hain Magar iss Sawar ka
Paon Abhi Rakab Say Aagay Nahi BaRha

Logon Nay Sang o Khisht K Qill'ay Bana Liye
Apna Mehel To Khuwab Say Aagay Nahi BaRha

Tool-e-Kalaam K Liye Main Nay Kiye Sawal
Woh Mukhtasar Jawab Say Aagay Nahi BaRha

Woh Teri Chaal Dhaal K Barey Main Kia Kahey
jo Apnay Ehtasab Say Aagay Nahi BaRha