Monday, August 10, 2009

Tera hogya

Tu woh zalim jo dil mai reh ker bhi mera na ban saka Ghalib,
Aur dil woh kafir jo mujh mai reh ker bhi tera hogya.

Jab chaha...

Kitna ikhtayar tha usko apni chahat pay,
Jab chaha yaad kia, jab chaha bhula dia,

Janta the woh mujhko behlanay ka har andaaz,
Jab chaha hansa dia, jab chaha rula dia,

Dil bhi uska tha, pyar bhi uska tha,
Jab chaha mera naam likha, jab chaha mita dia..

Meri ankhoun mai

Dhontay kia ho in ankhoun mai kahani meri?
Khud mai gum rehna to aadat hai purani meri,

Bheer mai bhi mil jaonga asani say,
Khoya khoya rehna hai nishani meri..

chaha?

Woh maang leta to ussey muhabbat ka darya detay,
Usnay to shaed aik qatra hi churana chaha..

Loat aata to rah mai uski moti bicha detay,
Usne to shaed mujhay bhulanay ka bahana chaha..

Meri shiddat ki muhabbat hi mera jurm ban gyi,
Usne to shaed kuch faasla hi bharhana chaha..

Is qadr dard bhi ab mujhey chubhta nahi,
Usne to shaed yeh fun hi mujhey sikhana chaha...

Achay nahi lagtay.

Kehien sehra, kahien sokhay shajr, achay nahi lagtay,
Mujhay ab khawab zaaroun keh safar, achay nahi lagtay,

Jawabi khat mai youn usne meray barey mai likha tha,
Bura bhi nahi kehtay, magar achay nahi lagtay,

Wafaon ka bharam tootay to kion zinda rehay koi,
Keh jab dastaar gir jaye to sir, achay nahi lagtay,

Woh lamha bhar mai janmou'n ka taluq torr sakta hai,
Mujhay lamhoun mai sadiyoun k safar, achay nahi lagtay...

Dard rehta hai ...

Mera afsurda chehra isliye bhi zard rehta hai,
Mujhey apnay illawa bhi kisi ka, dard rehta hai,

Uskay dum qadam say thi yeh sub mausam ki rangeeni,
Uskay baad sara saal mausam, sard rehta hai,

Uskay baad baqi aur to sub thiek hai laiken,
Jahan dil tha kabhi pehlay, wahan dard rehta hai...

Saturday, August 08, 2009

Jo hai so hai :P

Wo nahi mera magar ussay mohabbat hai, to hai,
Yeh ager rasmo rivaajoun say baghavat hai, to hai,

Sach ko maine sach kaha, jab keh dia to keh dia,
Ab zamanay ki nazar mai yeh himaaqat hai, to hai,

Dost ban ker dushmano sa wo satata hai mujhey,
Phir bhi us pathr dil per marna apni fitrat hai, to hai.