Thursday, June 17, 2010

سوچنےبيٹھوں توبہت سوچتاہوں

سوچنےبيٹھوں توبہت سوچتاہوں
تھک جاوں تو سوچوں کہ کيوں سوچتا ہوں

کویٔي
ميری سوچ سوچے يہ سوچتا ہوں
حقيقت کيا ہے کبھي وہ سوچتا ہوں

سوچتے لمحوں کي جب
سوچيں بھڑجاتی ہيں
پھرسوچوں کو سميٹنے کا سبب سوچتا ہوں

سلجھانے كوالجھن ان سوچوں کي
سوچنےبيٹھوں توبہت سوچتاہوں

Thursday, June 03, 2010

Dil kuch aur samjha tha...

Wo Jazbon Ki Tijarat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Use Hasne Ki Aadat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Muje Usne Kaha Aoo Nai Dunya Basate Hain

Use Suji Shararat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Hamesha Us Ki Ankhon Main Dhanak Se Rang Hote The

Ye Us Ki Aam Halat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Wo Mere Paas Betha Dair Tak Gazlain meri Sunta

Use Khud se Mohabat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mere Kandhay Per Sar Rakh Kr Kahen Kho Gya thaa Wo

Ye Ik Waqti Innayat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Muje Wo Dekh Kar Aksar Nigaheen Pher Leta Thaa

Ye Dar Parda Haqarat Thii Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Friday, May 07, 2010

Ghum

Zabt-e-ghum is qadar asaa'n nahi Faraz,
Aag hotey hain woh ansu jo peyay jatey hain..

Thursday, May 06, 2010

Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijab Say Aagay Nahi BaRha
Main "Aap", Woh "janab" Say Aagay Nahi BaRha

Muddat Hui Kitab e Mohabbat Shuru Kiye
Lekin Main Pehle Baab Say Aagay Nahi BaRha

Lambi Musaftain Hain Magar iss Sawar ka
Paon Abhi Rakab Say Aagay Nahi BaRha

Logon Nay Sang o Khisht K Qill'ay Bana Liye
Apna Mehel To Khuwab Say Aagay Nahi BaRha

Tool-e-Kalaam K Liye Main Nay Kiye Sawal
Woh Mukhtasar Jawab Say Aagay Nahi BaRha

Woh Teri Chaal Dhaal K Barey Main Kia Kahey
jo Apnay Ehtasab Say Aagay Nahi BaRha

Friday, April 30, 2010

Yaad aatay hain

bhulata la’kh hooN lakin barabar yaad aatay haiN,
elahi tark e ulfat par wo kyooNkar yaad aatay haiN,

nahiN aati tou yaad unki maheenoN tak nahiN aati
magar jab yaad aatay haiN tou aksar yaad aatay haiN,

haqeeqat khul gayee Hasrat teray tark e ta’lluq ki
tujhay tou ab wo pehlay say bhi baRh kar yaad aatay haiN

Thursday, March 25, 2010

Samandar

Khwab kho'day to teri yaad ke khandar nikley,
Khud mein doobey to teri zaat ke andar nikley,
Be-waja na thi yeh beijaan butou'n ki chahat,
Dil jo toota to tere pyar ke mandir nikley,

Hum to samjhe thay keh houn gay yeh do char aansu,
Roney baithey to samandar ke samandar nikley!!