Friday, December 19, 2008

Ajeeb kurb ka alam hai........

Ajeeb kurb ka alam hai meri basti per

Ghata bhi chaai hai or barsat bhi nahi hoti
Silay hain hont or koi baat bhi nahi hoti

Ajeeb rang badalta hai asar ka suraj
K shaam khafa hai or raat bhi nahi hoti

Main uski zaat ka hissa bhi ban nahi sakta
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti

Sunday, December 14, 2008

Wo Mera Khayal Rakhti Hai

Mai Aaina Hoo'n Wo Mera Khayal Rakhti Hai
Mai Tut Ta Hoo'n To Chunn Kar Sambhal Rakhti Hai

Har Aik Shai Ka Wo Hall Bhi Nikaal Rakhti Hai
Zaheen Hai Mujhey Hairat Mai Daal Rakhti Hai

Mai Jab Bhi Tarq E Taalluq Ki Baat Karta Hoo'n
Wo Rokti Hai Mujhey, Kal Pe Taal Rakhti Hai

Wo Mere Dard Ko Chunti Hai Apni Palako'n Se
Wo Merey Wastey Khud Ko Nidhal Rakhti Hai

Wo Dubney Nahi Deti Hai Dukh K Darya Mai
Merey Wujud Ki Na'o Uchal Rakhti Hai

Dua'ain Uski Balao'n Ko Rok Leti Hain
Wo Merey Char Soo Aisa Hisaar Rakhti Hai

Ik Aisi Dhunn K Nahee Maine Fir Kabhi Bhi Suni
Wo Munfarid Sa Husan'n Mai Kamal Rakhti Hai

Usey Nidamatain Meri Kaha'n Gawara Hai'n
Wo Merey Wastey Aasa'n Sawal Rakhti Hai.

Saturday, December 13, 2008

Mujhy Tum Yaad Atay Ho....

Zara tum sham dhalny do
kay suraj ko to jany do,
parindon ko to urnay do,
zara tum sham dhalny do
Abi to asman ka rang nikhray ga
abi khushboo b bikhray ge,
abi mosam b badlay ga,
abi to chand niklay ga
Abi manzar badalny mai,
zara se dair baki hai
abi dil kay sambhalny mai,
zara se dair baki hai
Chalay aao abi do char pal,
do char sadiyan sath rehnay do
mujhay kuch aaj kehnay do,
bas apnay pass rehnay do
Mujhy itna to kahnay do,
mujhy tum yaad atay ho
bohat yaad atay ho.......