Thursday, October 08, 2009

Asasa

Kuch waaday qasmie'n yadie'n thie'n,
Kuch qehqahy thay, kuch faryadie'n thie'n,

Kuch anso thay jo bahey thay,
Kuch dhokay thay jo khaye thay,

Ab pass hamarey kuch bhi nahi,
Bus yadou'n ki zanjeerie'n hain,

Kuch rung urri tasveerie'n hain,
Kuch lafz mitti tehrerie'n hain,

Ek dil jo deed ka payasa hai,
Bus yehi mera Asasa hai.

Sunday, October 04, 2009

Surkh ankhien.

Log pochtay hain kion surkh hain tumhari ankhien,
Hans ker keh deta hun raat so na saka,

Lakh chahoun bhi to yeh keh na sakoun,
Raat ronay ki hasrat thi per ro na saka.

Yaad.

Koi aata hai yaad buht sonay say pehlay,
Jo cheen lay anso meray ronay say pehlay,

Phir rehta hai woh raat bher aise samnay,
Mai akser chal parta hun uske haath thamnay,

Ab neend bhi aaye to mai sona nahi chahta,
Kisi qeemat per bhi mai usko khona nahi chahta,

Hojaye woh kaash mera, mujhay khonay say pehlay,
Jo ata hai yaad buht sonay say pehlay.

Shehr-e-Adawat

Mera us shehr-e-adawat main basaira hai Faraz,
Jahan log sajdoun mai bhi logoun ka bura chahty hain...

Main Aiyna Hoon...

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhta Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokta Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnta Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daita Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,

Woh Muntazir Mera Rehta Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!