Friday, December 19, 2008

Ajeeb kurb ka alam hai........

Ajeeb kurb ka alam hai meri basti per

Ghata bhi chaai hai or barsat bhi nahi hoti
Silay hain hont or koi baat bhi nahi hoti

Ajeeb rang badalta hai asar ka suraj
K shaam khafa hai or raat bhi nahi hoti

Main uski zaat ka hissa bhi ban nahi sakta
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti

Sunday, December 14, 2008

Wo Mera Khayal Rakhti Hai

Mai Aaina Hoo'n Wo Mera Khayal Rakhti Hai
Mai Tut Ta Hoo'n To Chunn Kar Sambhal Rakhti Hai

Har Aik Shai Ka Wo Hall Bhi Nikaal Rakhti Hai
Zaheen Hai Mujhey Hairat Mai Daal Rakhti Hai

Mai Jab Bhi Tarq E Taalluq Ki Baat Karta Hoo'n
Wo Rokti Hai Mujhey, Kal Pe Taal Rakhti Hai

Wo Mere Dard Ko Chunti Hai Apni Palako'n Se
Wo Merey Wastey Khud Ko Nidhal Rakhti Hai

Wo Dubney Nahi Deti Hai Dukh K Darya Mai
Merey Wujud Ki Na'o Uchal Rakhti Hai

Dua'ain Uski Balao'n Ko Rok Leti Hain
Wo Merey Char Soo Aisa Hisaar Rakhti Hai

Ik Aisi Dhunn K Nahee Maine Fir Kabhi Bhi Suni
Wo Munfarid Sa Husan'n Mai Kamal Rakhti Hai

Usey Nidamatain Meri Kaha'n Gawara Hai'n
Wo Merey Wastey Aasa'n Sawal Rakhti Hai.

Saturday, December 13, 2008

Mujhy Tum Yaad Atay Ho....

Zara tum sham dhalny do
kay suraj ko to jany do,
parindon ko to urnay do,
zara tum sham dhalny do
Abi to asman ka rang nikhray ga
abi khushboo b bikhray ge,
abi mosam b badlay ga,
abi to chand niklay ga
Abi manzar badalny mai,
zara se dair baki hai
abi dil kay sambhalny mai,
zara se dair baki hai
Chalay aao abi do char pal,
do char sadiyan sath rehnay do
mujhay kuch aaj kehnay do,
bas apnay pass rehnay do
Mujhy itna to kahnay do,
mujhy tum yaad atay ho
bohat yaad atay ho.......

Sunday, November 09, 2008

Shikayat

Wo Chahta Tha Phir bhi Koi Guftugu Na Ki,
Maine bhi Pochney Ki koi Justuju Na Ki,
---
Karta Raha Bayan woh Ghairon K Samney,
Us nay Kabhi Shikayat Mere Rubaruh Na Ki ...
---

Saturday, November 01, 2008

Kabhi woh khafa kabhi main khafa

Youn hi ranjishon main guzar gai zindagi,
Kabhi woh khafa kabhi mai khafa,

Wahmon k har morr per kabhi wo ruka kabi main ruka,
Wohi rastey hain wohi hum, na usey khabar na mujhy pata,

Apni apni ana main gum hain kuch is tarha,
Kabhi woh khafa kabhi main khafa :)

Saturday, October 25, 2008

Nahi milta?

Kabhi kisi ko mukamal jahan nahi milta,
Kahien per zameen to kahien aasman nahi milta..

Monday, October 20, 2008

Jaisay Banday Khuda k Hoty Hain.

Qurb k na wafa k hoty hain
saray jhagray ana k hoty hain

Baat nieyat ki sirf hai warna
waqt saray dua k hoty hain

Bhool jaty hain, mat bura kehna
log putlay khata k hoty hain

Wo bazahir jo kuch nahi lagty
un se rishtay bala k hoty hain

Wo Humara hai is tarah se Faiz
jaisay banday khuda k hoty hain.

Thursday, October 09, 2008

Barish k baad..

Hogayi rukhsat ghataa barish k baad
Aik diya jalta raha barish k baad

Meray behtay huyey Anson ko dekh ker
Roo pari thandi hawa barish k baad

Meri tanhai ka daman tham ker
Kuch udasii nay kaha Barish k baad

Yaad teri Orh ker main so gaya
Khwab ka darr khul gaya barish k baad

Chand dekh ker badloon ki qaid main
Aik sitara roo dia barish k baad

Apnay ghar ki her katchi dewar per
Naam tera likh dia barish k baad.

Wednesday, September 17, 2008

Rula deta hai

Woh jo milta hai sub bhula deta hai,

Janey kia baat hai, dil us ko dua deta hai,

Woh mujhey piyar se rotey mein hasaney wala,

Yaad ata hai to hastey mein rula deta hai........!

Monday, September 15, 2008

Adhori lagti hai ...

Lafz adhooray lagtay hain, har baat adhoori lagti hai..
Chand bhi nahi nikla, ye raat adhoori lagti hai..
~~~
Baras rahay hain badal meray aashiyanay per qehar ban kar..
Abhi toota nahi makaan mera, ye barsaat adhoori lagti hai..
~~~
Kab tak sahara daingi umeedai'n meri sansoo ko..
Milta nahi tujh sa meharbaa'n, ye kainaat adhoori lagti hai..
~~~
Mili hain khushiya'n bhi mujhay lamho'n keh wastay..
Agar gham hi moqaddar hai to, ye soghaat adhoori lagti hai..
~~~
Kis se gila karoon koun suneiga meri dastan-e-tanhai..
Likha tha jis per mera naseeb, Wo kitaab adhoori lagti hai..
~~~

Saturday, July 26, 2008

Khwaaboun waley.

Ye jo sar guzishta se phirte hain kitaabo'n waale
in se mat mil ke inhe rog hain khwaabo'n waale

ab maah-o-saal ki mohlat nahi milne waale
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo'n waale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zubaa'n bolte hain
ab kahaan log mohabbat ke nisaabo'n waale

jo dilo'n par hi kabhi hakaab zani karte thhey
ab gharo'n tak chale aaye wo nikaabo'n waale

zinda rehne ki tamanna ho to ho jaate hain
faakhto'n ke kirdaar bhi uqaabo'n waale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
ab ke mousam hi nahi aaye gulaabo'n waale

yoon lagta hai ke qismat ka sikandar hai "FARAZ"
magar andaaz hain sab khaana kharaabo'n wale.

Monday, July 14, 2008

Chand..

Pichhly peher ki raat thi,
tanhai or uski yad thi.
Chand ne mujhse kaha kon hy?
Mai ne kaha koi khaas nhi.
Bola zindgi kesi hy?
mai ne kaha koi saath nhi.
Bola phir kiya chahty ho?
mai ne kaha koi Aas nhi.
Bola tumne pyar kya hy?
mai ne kaha kuch Yad nhi.
Bola tumhary sath bhe dohka howa?
Mai ne kaha asi koi bat nhi.
Bola phir ek bat kahon tumse?
Mai ne kaha koi aetraz nhi.
Bola phir tumny pyar kia hai or wo tere sath nai.

Wednesday, July 09, 2008

WHAT HAPPENED???





What happened to those days when my faith was strong?

When I wouldn't dare think of doing anything wrong

When my trust in Allah would lead me through

The good and bad, the old and new

What happened to the days when my prayer was sincere?

When there was absolutely nothing on earth I would fear

When I was certain that Allah was very near

And would run to Him and leave all else that is dear

What happened to those days when I could recite well?

When I bought Paradise and this world I would sell

When my heart was pure and all full of light

When my Salah was my source of strength and might

What's wrong my soul, why did you fall?

Don't you know that Allah hears your call?

A little test like this shouldn't beat you so

It shouldn't pull you down to a level so low

Don't you know that Allah always chooses what is best

And that this is all part of a previously planned test

Allah is Great, Allah is Al-Hakeem

His ways are just, no matter how hard it may seem

Hold on my soul, to the fireball in your palm

Hold on tight and when it burns, be calm

Whenever it falls, bend down and restart

Let out the tears and wipe clean that heart

Get back on your feet and go back to those days

You will soon see this is only a transient phase--


Source: This poem has been taken from this blog, with many thanks.

Saturday, June 14, 2008

Umeed

>Umeed-e-Aaftaab kerke nikley,
Gham-e-Mahtab ne Aaaliya,
So Humne Khawahishoun Ko Bhoul Ker,
Taqdeer Ko Muqadar Bana Lia,

>Yaar To Nahi, Dard-e-Yaar Mila,
Zindagi to nahi, Magar Piyar Mila,
Youn Humne Apni Taalash mai,
Khud Ko Hi Tanha Bana Lia!

(TML)

Acha Hota hai ...

Dil Torney Sey Pehlai Batana,
Acha Hota Hai,
Moa Morne Se Pehlay Dikhana,
Acha Hota Hai.

Kuch Log Dil Hotey Hain,
Kuch Dil Ke Paas Hotey Hain,
In Sub Ka Rekhna Khayal,
Acha Hota Hai.

Zindagi Tu Chalni Hai,
Chalti Hi Jaye Gi
Jinko Chunlia Humsafar,
Unkay Chalna Saath,
Acha Hota Hai!

Na Chahtey Huwey Bhi log,
Dil De Baith'tay Hain,
Apni Chahtoun ka rekhna khayal,
Acha Hota hai!

Jo Apnoun Mai Bhi Beganey Houn,
Jo Ghairoun Mai Bhi Apney Houn,
In mai rekhna ik hisaab,
Acha Hota hai.

( TML )

Tuesday, June 03, 2008

Too hi hai

Andheri raat hai, saaya tu ho nahi sakta,
Yeh too hi hai jo meray sath sath chalta hai!

Friday, May 30, 2008

Inqilaab

~~~
Hum log...

Daai'ron mein chaltey hain,
Daai'ron mein chalnay say,
Daai'ray to barhtey hain,
Faasley nahin ghat'tey,
Aarzo'ein chalti hain,
Jis taraf ko jaatey hain,
Manzilain tamanna ki,
Saath saath chalti hain,
Gard urti rehti hai,
Dard barhta rehta hai,
Raastey nahin ghat'tey!,
Subh daam sitaaron ki taiz jhilmilahat ko,
Roshni ki amad ka pesh baab kehtay hain,
Ik kiran jo milti hai, aaftaab kehtay hain,
Daairrah badelnay ko inqilaab kehtay hain...
~~~

Monday, May 12, 2008

Abhi kuch waqt baqi hai...

Agarchey waqt mahram hai…

Magar kuch waqt lagta hai…

Kisi ko bhool jane mien…

Dobara dil basane mien…

Abhi kuch waqt lagana hai…

Abhi wo dard baqi hai…

Main kaise nai ulfat mien aapne zaat ko gum ker doon…

K mere jism-o-wajood mien abhi wo fark baqi hai…

Abhi us shaks ki mujhe per nigah-e-sard baqi hai…

Abhi to ishq k rastoon ki mujh per gard baqi hai…

Abhi wo dard baqi hai…

SMS Shair-25

Zara dhayan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
Wafa ka maan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~
Kahan is umer mai hum bhais badliengye faqeeroun ka,
Milan aasan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~
Judayi keh dino mai log chehray bhool jatey hain,
Meri pehchaan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~~
Judai to mai seh lounga magar tumse milnay ka,
Koi imkaan rekhna!, yeh meri pehli muhabbat hai.
~~~~

MERI SADGI MERA JURM HAI

Yahan chahtoun ka sila nahi ,
Yahan dosti ka maza nahi,
Yahan janay kaisi hawa chali,
Rahi dostoun mai wafa nahi,

Yahan jal gia mera aashiyan,
Abhi baadloun ko pata nahi,
Teray dar pe dastak de sakoun,
Yeh haq tumne mujhey dia nahi,

Mai raahi houn rah-e-umeed ka,
Mujhey manziloun ka pata nahi,
Be-bas houn jahan mai itna,
Jaise mera koi ''Khuda' nahi,

Meri saadgi mera jurm hai,
Koi aur meri khata nahi.!
~~~~

Wednesday, May 07, 2008

Chalo ik bar phir se ..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha...


Click here to read full.

Sunday, April 20, 2008

SMS Shair-24

Ho raat akaili pichlay pehr,
Aur chand aangan mai aajaye,
Tum chand ki manind tanha ho,
Yeh baat tumhai tarpa jaye,
~~
Kuch khawab saja ker palkoun peh,

Tum chand say batien ker lena,
Hum yaad tumhai hi kertay hain,
Tum yaad hamie bhi ker lena,
~~
Kuch na ho jab aise hi,

Num ankh tumhari ho jaye,
Tum baat kahien peh kertay ho,
Dil aur kahien peh kho jaye,
~~
Jazbaat keh aise aalum mai,

Muskaan laboun per bher lena,
Hum yaad tumhai hi kertay hain,
Tum yaad hamie bhi kerlena.

SMS Shairi-23

~~~
Aaj halki halki barish thi,

Aur sard hawa ka raks bhi tha,
Aaj phool bhi nikhray nikhray thaye,

Aaj unmay tumhara aks bhi tha,
Aaj badal kalay gehray thaye,
Aur chand per lakhoun pehray thaye,

Kuch tukray tumhari yadoun kay,
Bari dair say dil mai thehray thaye,
Aaj yaad buht tum aye thaye,
Haan! yaad buht tum aye thaye...
~~~

SMS Shairi-22

Woh ajeeb phool say lafz thay,
Teray hont jinsay mehak uthay,
Meray khawab mai dur tek,
Koi bhaagh jaise laga gaye,
Meri umr say na mit sakay,
Meray dil mai itnay sawal thaye,
Teray pass jitnay jawab thaye,
Teri ek nigah mai aagye...
---

Wednesday, April 09, 2008

SMS Shairi-21

Meri raat din mai chuppi hui,
Mera din chuppa kisi raat mai,
Meri zindagi ek raaz hai,
Koi raaz meri baat mai,
Main jahan kahien bhi ulajh gaya,
Wahien girtey girtey sambhal gaya,
Mujhey thokroun say pata chala,
Mera haath hai kisi haath mai!

SMS Shairi-20

Aarzo-e-safar ka jab humnay irada kia tha,
Saath chalnay ka usnay bhi wada kia tha,
Kuch usko raas na aayien wafa ki sadaqtien,
Kuch aitebar humnay bhi ziada kia tha..

SMS Shairi-19

Aik chanda tanha khara reha,
Meray asmaa'n say zara parey,
Meray saath saath safar mai tha,
Meri manziloun se zara parey,
Teri justajo keh hisaar say,
Keray khaab teray khayal say,
May woh shaksh tha jo khara reha,
Teri chahtoun se zara parey,
Kabhi dil ki baat kahi na thi,
Jo kehi to woh bhi dabi dabi,
Meray lafz purey to thaye magar,
Thay sama'to say zara parey,
Tu chala jaye ga meray dost,
Zara dekh mur k to ek nazar,
Meri kashtiyan hain jalien huwi,
Teray sahiloun se zara parey....

SMS Shairi-18

Kab hui payar ki barsat mujhey yaad nahi.,
Khauf mai doobi mulaqat mujhey yaad nahi,
Mai to madhoosh thi kuch itna uski chahat mai,
Usnay kab chor dia haath mujhey yaad nahi ....

SMS Shairi-17

Us nay aik bar bataya tha mujhey,
Barasti barish say ishq hai usko,
So uska ishq apnanay keh liye,
Meri ankhien har raat barasti hain.

SMS Shairi-16

Rang pairhan ka, Khushbo zulf lehranay ka naam,
Mausam-e-gul hi tumharey baam aanay ka naam,
Dosto is chashm-e-lab ki kuch kho jiskay beghair,
Gulistan ki baat rangeen he, na maikhanay ka naam,
Phir nazar mai phool mehkay,
Phir shamien jalien,
Phir tasawur nai lia is bazm janay ka naam,
Faiz in ko hi taqaza-e-wafa hum say jinhain,
aashna keh naam say payara hai baiganay ka naam...

SMS Shairi-15

Usey roktay bhi to kisliye,
Woh jo shehr-e-dil tha ujar gya,
Woh jo khaab tha woh bikhar gya,
Kabhi mausmo'n ki nazar lagi,
Kabhi wahmou'n nay dara dia,
Kabhi manziloun kay sarab nay,
Kabhi zindagi ki kitaab say,
Jisne chaha mita dia,
Buss isiliye...
Woh ja reha tha dur tek,
Ussey dekhtay hi rehay, Magar nahi di sadaa,
Ussey roktay bhi to kisliye?...

SMS Shairi-14

Mainey haq-e-muhabbat ada kiya,
Na kabhi kisi se gila kiya,
Mujhey ajab iska sila mila,
Mujhey dil se usne bhula dia,
Muhabatoun ki kitab ka,Har warq jala dia,
Woh jo arzo ka chiragh tha, Usey nafratoun ne bhula dia,
Mujhey zakhm phir aik naya dia,
Mujhey is muhabbat nai kia dia?
Woh jo kehtay thaye khush reho,
Woh jo kehtay thaye meri Jaan ho tum,
Har lamha hansa kero,
Mujhey aaj unho ne rula dia,
Mera nishaan tek mita dia...

SMS Shairi-13

Dil wohi rehtay hain jazbaat badal jatey hain,
Sochnay waloun k andaaz badal jatey hain,
Woh jo detay thaye har baat pe hawala mera,
Ab merey zikr per baat badal jatay hain!

Tuesday, April 01, 2008

SMS Shairi-12

AB k tamam shehr mai elaan hogya,
Ek shakhs meri zaat ki pehchaan hogya,
Pehlay to merey naam se mansoob woh huwa,
Aur phir kitab-e-zeest ka woh unwaa'n hogya,
Iqrar ker na saka woh chahat k bawajood,
Apni anna ki aarh mai woh anjaan hogya,
Ger woh udaas kergya mujhko to kia huwa,
Mujhsey bicher ker woh bhi to bejaan hogya.

SMS Shairi-11

Gham-e-zindagi teri rah mai,
Shab-e-arzo teri chah mai,
Jo ujar gya woh basa nahi,
Jo bichar gya woh mila nahi,
Jo dil-o-nazr ka saror tha,
Mere pass reh ker bhi dur tha,
Woh aik ghulab umeed ka,
Meri shakh-e-jaan per khila nahi,
Mera humsafar jo ajeeb hai,
To ajeeb-ter mai aap bhi,
Mujhey manziloun ki khabr nahi,
Usey rastoun ka pata nahi,
Pas-e-karwan, sar-e-rahguzar,
Mai shikasta pa houn to isliye,
Keh qadam to sub ne mila liye,
Mera dil kisi se mila nahi!

SMS Shairi-10

Gaye dino ka suragh laiker kidher se aya kidher gya woh,
Ajeeb manoos aadmi tha, mujhey to hairan kergya woh,
Woh mai-kaday ko jaganay wala, woh raat ki neend uranay wala,
Yeh aaj kia uske jee mai aaya k shaam hotey hi gher gya woh,
Woh jiske shano per haath rekh ker safar kia tunay manziloun ka,
Teri gali se na janay kion aaj sir jhukaye guzar gya woh,
Woh hijr ki raat ka taara, woh hum-nafs hum-sukhan hamara,
Sada rehay naam uska pyara, suna hai kal mar gya woh,
Woh raat ka bai-nawa musafir, woh tera shayr woh tera nasir,
Teri gali tek humne dekha tha, phir na janay kidher gya woh...

Monday, March 17, 2008

Tu Nai Aaaya (Punjabi)

~~~
Tu nai aaya, teri yaad aakay, tera waada yaar wafa kergyi,

Rehi taan milan di pal pal menu, Mera mann sakoon tabah kergyi,

Boha kharkia, sunya kaye wari,

Assi samjhay asr dua kergyi,

Jad khol k waikhya kuj v nai,

Saday naal mazak hawa ker gyi.
~~~

Thursday, February 28, 2008

A jao

Sadiyon say jagi ankhon ko,
Ek baar sulaaney aa jaao,
Maana keh tumko pyar nahi,
Nafrat hi jataane aa jaao.
~~~
Jis morr pe mujhko chor gaye,
Main baithi ab tak soch rahi,
Kya bhool hui, kyon juda huye?
Bas ye samjhaane aa jaao.
~~~
Har lamha teri furqat me,
Main tarap rahi main taras rahi,
Meri maano tum is dil ko,
Kuch pal bahlaney aa jaao.
~~~
Qatra qatra shabnam se pyaas,
Bujhhti nahi barh jaati hai,
Tum apni ek jhalak dekar,
Ab meri pyaas barhaa jaao.
~~~
Shayad ye jeena aasaan ho,
Gar dil me koi armaan na ho.
Meri barhti har hasrat ko,
Haathon se jalaane aa jaao.
~~~
Mujh par laakh sitam dhaao,
Ya dard ke pehloo me rakho,
Issey pehle aankhein moondun,
Mere Khawab churaney aa jaao.
~~~

Akela

Aagahi ke rastey par
Fikr ke dareechon se
Jab kabhi Guzarta hoon
Main Buhat Ulajhta hoon
Kis tarah Yeh mumkin Hai
Aik main akela aur
Aainay ke andar bhi
Aainay ke bahir bhi..

Poet:
Qaiser Munawwar

Thursday, February 21, 2008

SMS Shairi-9

Akser woh meri nazam ka unwaan reha hai,
Laiken woh meri muhabbat se anjaan reha hai,

***

Kuch kaha na is dar say k kahien bura na maan jaye,
Magar woh ab isi baat ka bura maan reha hai ...

***

SMS Shair-8

Mujhey maaf ker meray humsafar,
Tujhey chahna meri bhool thi,

Kisi rah pay jo uthi nazar,
Tujhey dekhna meri bhool thi,

Koi nazam ho koi ghazal ho,
Kahien raat ho kahien seher ho,
Woh gali gali woh seher seher,
Tujhay dhondna meri bhool thi.

Tere gham ki koi dawa nahi,
Mujhey tujhsey koi gila nahi,
Mera koi tere siwa nahi,
Yehi sochna meri bhool thi.

SMS Shair-7

Tum bin meri zaat adhuri,
Jaise koi baat adhori,

Hijr k sarey din hain porey,
Laiken hai har raat adhori,

Lafzoun ki gehrai mai jhanko,
Samjho na har baat adhori,

Num ankhien aur sookhi palkien,
Hoti hai barsaat adhori,

Mujhsey mujhko chain gye tum,
Reh gyi meri zaat adhori.
---

SMS Shair-6

Kabhi lafz bhool jaon, kabhi baat bhool jaon,
Tujhey is qadr chahoun apni zaat bhool jaon,

Uth ker kabhi jo tere pass se mai chal doun,
Jatey huwey khud ko tere saath bhool jaon.

SMS Shair-5

Kal Halki Halki Barish thi,
Kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray thaye,
Kal unmay aapka aks bhi tha,
Kal badal kaalay gehray thaye,
Kal chaand pay lakhoun pehray thaye,
Kuch tukray apki yadoun kay,
Bari dair se dil mai thehray thaye,
Kal yadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tek yeh na suljhi thien,

Kal yaad buht tum aye thaye..
Kal yaad buht tum aye thaye.

SMS Shair-4

Meri zindagi tera Saath ho,
Meri zindagi teri Baat ho,
+++
Jo jhukay nazar tera Khuwab ho,
Jo uthay nazar teri Zaat ho,
+++
Merey haath mai ek Phool ho,
Aur woh phool tera Haath ho.
+++

SMS Shair-3

Barishon keh mausam mai tujhey yaad kernay ki adatien purani hain,
Ab ki baar socha tha keh adatien badal dalien..
Phir khayal aaya keh,
Adatien badalnay sey barishien nahi ruktien .

SMS Shair-2

Kabhi fursatien jo naseeb houn,
Chalo aao kisi roz tum,
---
Keh barey adhorey hain mamlay,
Teri zaat se meri zaat tek.
---

SMS Shair-1

Muhabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai,
Tumhai khona bhi mushkil hai, tumhai pana bhi mushkil hai,
~~~
Udasi terey chehray ki gawarah bhi nahi laiken,
Teri khatir sitarey tor ker lana bhi mushkil hai,
~~~
Zara si baat per ankhien bhigo ker baith jatey ho,
Tumhai to apnay dil ka haal batana bhi Mushkil hai!
~~~

Saturday, January 05, 2008

Barey log?

Bade Logon Se Hamesha Thoda Fasla Hi Rakhna,
Kyo Ke Jahan Dariya Samundar Se Milte Hai,
Wahan Dariya Dariya Nai Rehte....