Sunday, November 09, 2008

Shikayat

Wo Chahta Tha Phir bhi Koi Guftugu Na Ki,
Maine bhi Pochney Ki koi Justuju Na Ki,
---
Karta Raha Bayan woh Ghairon K Samney,
Us nay Kabhi Shikayat Mere Rubaruh Na Ki ...
---

Saturday, November 01, 2008

Kabhi woh khafa kabhi main khafa

Youn hi ranjishon main guzar gai zindagi,
Kabhi woh khafa kabhi mai khafa,

Wahmon k har morr per kabhi wo ruka kabi main ruka,
Wohi rastey hain wohi hum, na usey khabar na mujhy pata,

Apni apni ana main gum hain kuch is tarha,
Kabhi woh khafa kabhi main khafa :)

Saturday, October 25, 2008

Nahi milta?

Kabhi kisi ko mukamal jahan nahi milta,
Kahien per zameen to kahien aasman nahi milta..

Monday, October 20, 2008

Jaisay Banday Khuda k Hoty Hain.

Qurb k na wafa k hoty hain
saray jhagray ana k hoty hain

Baat nieyat ki sirf hai warna
waqt saray dua k hoty hain

Bhool jaty hain, mat bura kehna
log putlay khata k hoty hain

Wo bazahir jo kuch nahi lagty
un se rishtay bala k hoty hain

Wo Humara hai is tarah se Faiz
jaisay banday khuda k hoty hain.

Thursday, October 09, 2008

Barish k baad..

Hogayi rukhsat ghataa barish k baad
Aik diya jalta raha barish k baad

Meray behtay huyey Anson ko dekh ker
Roo pari thandi hawa barish k baad

Meri tanhai ka daman tham ker
Kuch udasii nay kaha Barish k baad

Yaad teri Orh ker main so gaya
Khwab ka darr khul gaya barish k baad

Chand dekh ker badloon ki qaid main
Aik sitara roo dia barish k baad

Apnay ghar ki her katchi dewar per
Naam tera likh dia barish k baad.

Wednesday, September 17, 2008

Rula deta hai

Woh jo milta hai sub bhula deta hai,

Janey kia baat hai, dil us ko dua deta hai,

Woh mujhey piyar se rotey mein hasaney wala,

Yaad ata hai to hastey mein rula deta hai........!

Monday, September 15, 2008

Adhori lagti hai ...

Lafz adhooray lagtay hain, har baat adhoori lagti hai..
Chand bhi nahi nikla, ye raat adhoori lagti hai..
~~~
Baras rahay hain badal meray aashiyanay per qehar ban kar..
Abhi toota nahi makaan mera, ye barsaat adhoori lagti hai..
~~~
Kab tak sahara daingi umeedai'n meri sansoo ko..
Milta nahi tujh sa meharbaa'n, ye kainaat adhoori lagti hai..
~~~
Mili hain khushiya'n bhi mujhay lamho'n keh wastay..
Agar gham hi moqaddar hai to, ye soghaat adhoori lagti hai..
~~~
Kis se gila karoon koun suneiga meri dastan-e-tanhai..
Likha tha jis per mera naseeb, Wo kitaab adhoori lagti hai..
~~~

Saturday, July 26, 2008

Khwaaboun waley.

Ye jo sar guzishta se phirte hain kitaabo'n waale
in se mat mil ke inhe rog hain khwaabo'n waale

ab maah-o-saal ki mohlat nahi milne waale
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo'n waale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zubaa'n bolte hain
ab kahaan log mohabbat ke nisaabo'n waale

jo dilo'n par hi kabhi hakaab zani karte thhey
ab gharo'n tak chale aaye wo nikaabo'n waale

zinda rehne ki tamanna ho to ho jaate hain
faakhto'n ke kirdaar bhi uqaabo'n waale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
ab ke mousam hi nahi aaye gulaabo'n waale

yoon lagta hai ke qismat ka sikandar hai "FARAZ"
magar andaaz hain sab khaana kharaabo'n wale.

Monday, July 14, 2008

Chand..

Pichhly peher ki raat thi,
tanhai or uski yad thi.
Chand ne mujhse kaha kon hy?
Mai ne kaha koi khaas nhi.
Bola zindgi kesi hy?
mai ne kaha koi saath nhi.
Bola phir kiya chahty ho?
mai ne kaha koi Aas nhi.
Bola tumne pyar kya hy?
mai ne kaha kuch Yad nhi.
Bola tumhary sath bhe dohka howa?
Mai ne kaha asi koi bat nhi.
Bola phir ek bat kahon tumse?
Mai ne kaha koi aetraz nhi.
Bola phir tumny pyar kia hai or wo tere sath nai.

Wednesday, July 09, 2008

WHAT HAPPENED???





What happened to those days when my faith was strong?

When I wouldn't dare think of doing anything wrong

When my trust in Allah would lead me through

The good and bad, the old and new

What happened to the days when my prayer was sincere?

When there was absolutely nothing on earth I would fear

When I was certain that Allah was very near

And would run to Him and leave all else that is dear

What happened to those days when I could recite well?

When I bought Paradise and this world I would sell

When my heart was pure and all full of light

When my Salah was my source of strength and might

What's wrong my soul, why did you fall?

Don't you know that Allah hears your call?

A little test like this shouldn't beat you so

It shouldn't pull you down to a level so low

Don't you know that Allah always chooses what is best

And that this is all part of a previously planned test

Allah is Great, Allah is Al-Hakeem

His ways are just, no matter how hard it may seem

Hold on my soul, to the fireball in your palm

Hold on tight and when it burns, be calm

Whenever it falls, bend down and restart

Let out the tears and wipe clean that heart

Get back on your feet and go back to those days

You will soon see this is only a transient phase--


Source: This poem has been taken from this blog, with many thanks.

Saturday, June 14, 2008

Umeed

>Umeed-e-Aaftaab kerke nikley,
Gham-e-Mahtab ne Aaaliya,
So Humne Khawahishoun Ko Bhoul Ker,
Taqdeer Ko Muqadar Bana Lia,

>Yaar To Nahi, Dard-e-Yaar Mila,
Zindagi to nahi, Magar Piyar Mila,
Youn Humne Apni Taalash mai,
Khud Ko Hi Tanha Bana Lia!

(TML)

Acha Hota hai ...

Dil Torney Sey Pehlai Batana,
Acha Hota Hai,
Moa Morne Se Pehlay Dikhana,
Acha Hota Hai.

Kuch Log Dil Hotey Hain,
Kuch Dil Ke Paas Hotey Hain,
In Sub Ka Rekhna Khayal,
Acha Hota Hai.

Zindagi Tu Chalni Hai,
Chalti Hi Jaye Gi
Jinko Chunlia Humsafar,
Unkay Chalna Saath,
Acha Hota Hai!

Na Chahtey Huwey Bhi log,
Dil De Baith'tay Hain,
Apni Chahtoun ka rekhna khayal,
Acha Hota hai!

Jo Apnoun Mai Bhi Beganey Houn,
Jo Ghairoun Mai Bhi Apney Houn,
In mai rekhna ik hisaab,
Acha Hota hai.

( TML )

Tuesday, June 03, 2008

Too hi hai

Andheri raat hai, saaya tu ho nahi sakta,
Yeh too hi hai jo meray sath sath chalta hai!

Friday, May 30, 2008

Inqilaab

~~~
Hum log...

Daai'ron mein chaltey hain,
Daai'ron mein chalnay say,
Daai'ray to barhtey hain,
Faasley nahin ghat'tey,
Aarzo'ein chalti hain,
Jis taraf ko jaatey hain,
Manzilain tamanna ki,
Saath saath chalti hain,
Gard urti rehti hai,
Dard barhta rehta hai,
Raastey nahin ghat'tey!,
Subh daam sitaaron ki taiz jhilmilahat ko,
Roshni ki amad ka pesh baab kehtay hain,
Ik kiran jo milti hai, aaftaab kehtay hain,
Daairrah badelnay ko inqilaab kehtay hain...
~~~

Monday, May 12, 2008

Abhi kuch waqt baqi hai...

Agarchey waqt mahram hai…

Magar kuch waqt lagta hai…

Kisi ko bhool jane mien…

Dobara dil basane mien…

Abhi kuch waqt lagana hai…

Abhi wo dard baqi hai…

Main kaise nai ulfat mien aapne zaat ko gum ker doon…

K mere jism-o-wajood mien abhi wo fark baqi hai…

Abhi us shaks ki mujhe per nigah-e-sard baqi hai…

Abhi to ishq k rastoon ki mujh per gard baqi hai…

Abhi wo dard baqi hai…

SMS Shair-25

Zara dhayan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
Wafa ka maan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~
Kahan is umer mai hum bhais badliengye faqeeroun ka,
Milan aasan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~
Judayi keh dino mai log chehray bhool jatey hain,
Meri pehchaan rekhna, yeh meri pehli muhabbat hai,
~~~~
Judai to mai seh lounga magar tumse milnay ka,
Koi imkaan rekhna!, yeh meri pehli muhabbat hai.
~~~~

MERI SADGI MERA JURM HAI

Yahan chahtoun ka sila nahi ,
Yahan dosti ka maza nahi,
Yahan janay kaisi hawa chali,
Rahi dostoun mai wafa nahi,

Yahan jal gia mera aashiyan,
Abhi baadloun ko pata nahi,
Teray dar pe dastak de sakoun,
Yeh haq tumne mujhey dia nahi,

Mai raahi houn rah-e-umeed ka,
Mujhey manziloun ka pata nahi,
Be-bas houn jahan mai itna,
Jaise mera koi ''Khuda' nahi,

Meri saadgi mera jurm hai,
Koi aur meri khata nahi.!
~~~~

Wednesday, May 07, 2008

Chalo ik bar phir se ..

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna achchha...


Click here to read full.