Showing posts with label fb. Show all posts
Showing posts with label fb. Show all posts

Wednesday, December 28, 2011

Uski aadat

Uski aadat ha her baat adhori karna,
Or phir baat ka mafhoom badaltay rehna,

Aag se seekh lia ha yeh kareena hum ne
 
Bujh b jana tou bari dair sulagtay rehna

Friday, May 07, 2010

Ghum

Zabt-e-ghum is qadar asaa'n nahi Faraz,
Aag hotey hain woh ansu jo peyay jatey hain..

Thursday, March 25, 2010

Samandar

Khwab kho'day to teri yaad ke khandar nikley,
Khud mein doobey to teri zaat ke andar nikley,
Be-waja na thi yeh beijaan butou'n ki chahat,
Dil jo toota to tere pyar ke mandir nikley,

Hum to samjhe thay keh houn gay yeh do char aansu,
Roney baithey to samandar ke samandar nikley!!