Sunday, October 04, 2009

Main Aiyna Hoon...

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhta Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokta Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnta Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daita Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,

Woh Muntazir Mera Rehta Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!

4 comments:

  1. ghazal to lajawab hai .. laikin janab aap nay doosray "fard" ki jins badal di :) ... misaal k tor par

    Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
    Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal "Rakhti" Hay,

    ReplyDelete
  2. correction ka shukra and daad ka bhi,

    albata reference de saktay hain please? sha'er kon hai? kahien proper ghazal likhi hui ho yeh ?

    ReplyDelete
  3. sir shayar ka reference to nahi de sakta par maine yeh ghazal pehlay parhi thi .. is liye yeh ghalti nazar aa gai :) .. full ghazal k liye yeh link use kar sakte hain .. thora sa scroll down karain gay to mil jaye gi

    http://channeldostii.1.forumer.com/a/thodi-muskan-thode-aansu3333_post65.html

    ReplyDelete
  4. haha lagta hai har kisi nai apnay apnay hisaab say customized ker rekhi hai :P laiken chaliye...aap ki hi sahi :)

    ReplyDelete