Saturday, July 26, 2008

Khwaaboun waley.

Ye jo sar guzishta se phirte hain kitaabo'n waale
in se mat mil ke inhe rog hain khwaabo'n waale

ab maah-o-saal ki mohlat nahi milne waale
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo'n waale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zubaa'n bolte hain
ab kahaan log mohabbat ke nisaabo'n waale

jo dilo'n par hi kabhi hakaab zani karte thhey
ab gharo'n tak chale aaye wo nikaabo'n waale

zinda rehne ki tamanna ho to ho jaate hain
faakhto'n ke kirdaar bhi uqaabo'n waale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
ab ke mousam hi nahi aaye gulaabo'n waale

yoon lagta hai ke qismat ka sikandar hai "FARAZ"
magar andaaz hain sab khaana kharaabo'n wale.

4 comments:

  1. i hav read a good poetry after along time...good taste

    ReplyDelete
  2. Wah maze Dar... Nice
    esp
    last line khana kharaboo wali:D :P

    ReplyDelete
  3. Anonymous8:47 am

    khoobsurat intikhaab

    ReplyDelete
  4. Thank you all for your encouragement and comments.

    ReplyDelete