Friday, May 30, 2008

Inqilaab

~~~
Hum log...

Daai'ron mein chaltey hain,
Daai'ron mein chalnay say,
Daai'ray to barhtey hain,
Faasley nahin ghat'tey,
Aarzo'ein chalti hain,
Jis taraf ko jaatey hain,
Manzilain tamanna ki,
Saath saath chalti hain,
Gard urti rehti hai,
Dard barhta rehta hai,
Raastey nahin ghat'tey!,
Subh daam sitaaron ki taiz jhilmilahat ko,
Roshni ki amad ka pesh baab kehtay hain,
Ik kiran jo milti hai, aaftaab kehtay hain,
Daairrah badelnay ko inqilaab kehtay hain...
~~~

4 comments:

  1. Anonymous11:37 am

    who's teh poet? I remember reaidng it somewhere. I love teh poem.

    ReplyDelete
  2. Yani ke geometry aur mechanics :)

    ReplyDelete
  3. jazbaat har zaawaiye se bayan kiye jasakaty hain...yehi to khoobi hai sha'yer ki :P

    ReplyDelete