Monday, May 25, 2009

Kuch nahi milta,,,

Kisi ke aankh se sapnay chura k kuch nahi milta,

Mendeiron se chiraghon ko bhuja k kuch nahi milta,


Koi ik aadha sapna ho to acha b lagta hai,

Hazaron khowab aankhon mai saja ker kuch nahi milta,

Sakoon un ko nahi milta pardes bhi ja kar,

Jinhain apnay watan se dil laga ker kuch nahi milta,

Issay kahna k palkon per na tanky khowaboon k jhalar,

Samunder k kinaray ghar bana k kuch nahi milta,

Ye acha hai k aasia k bharam ma tootne payen,

Kabhi kabhi dostoon ko aazma ker kuch nahi milta,

Mujhay aksar sitaroon se yahi awaz ati hai,

Kisi k hijar mai neendain ganwa ker kuch nahi milta,

Jigar ho jai ga chalnee aankhain khoon se rooye gi,

Wasi befaiz logon se nibha ker kuch nahi milta………

Monday, May 04, 2009

Mohabbat ka safar.

Mohabbat kay safar main koi bhi raasta nahi daita,
Zameen waqif nahi banti, Falak saaya nahi daita,

Khushi, gham kay mausam sab kay apnay hotey hain,
Kisi ko apnay hissay ka koi lamhaa nahi daita,

Udaasi jis kay dil mein ho, ussi ki neend urti hai,
Kisi ko apni aankhon say koi sapna nahi deta,

Uthana khud hi parta hai thaka toota badan apna,
Keh jub tak saans chalti hai, koi kandha nahi daita !!

Thursday, April 16, 2009

Bewafa

Mosam-e-Hijr main barish ka barasna kaisa?

Ek sehra say samander ka guzarna kaisa?

Aye meray dil na pareshan ho tanhaa ho kar,

Wo teray sath chala kab tha, bicharna kaisa?

Log kehtay hain keh gulshan ki tabahee dekho,

Main to veeran sa jungle tha, ujarna kaisa?

Dekhnay mai to koi dard bhi nahi dukh bhi nahi,

Per yeh ankhon se ansoo ka nikalna kaisa?

Bewafa kehnay ki jurrat bhi na karna us ko,

Us nay iqrar kia kab tha, mukarna kaisa???

Sunday, March 29, 2009

Roye..

Kabhi Zindagi Se Gila Kar Ke Roye !!
Kabhi Mout Ki Hum Dua Kar Ke Roye !!
Ajeeb Silsila Hai Namaz_e_Muhabbat Ka !!
Qaza Kar Ke bhi Roye Ada Kar Ke Bhi Roye !!

Monday, February 23, 2009

M&M...

I went to the refrigerator
to get a pack of M & M's...

A few pieces fell on the
floor and broke into pieces.

That's when I came to
realize that even the
sweetest things can
be broken.

Sunday, February 15, 2009

SOLITARY PRINCESS: Now THIS IS ACTUAL POSITIVE THINKING !!!!! THINK ABOUT IT

SOLITARY PRINCESS: Now THIS IS ACTUAL POSITIVE THINKING !!!!! THINK ABOUT IT

KABHI ISHQ HO TU PTA CHALEY

KABHI ISHQ HO TU PTA CHALEY..

Bisat-e-jaan pe azaab utertay hain kis tarah

Shab-o-roz dil pe aetaab utertay hain kis tarah

KABHI ISHQ HO TU PTA CHALE

Yeh jo log hain chupey hoye pas-e-dostan

tu yeh kon hain???

Yeh jo rog se hain chupey hoye pas-e-jismo jaan

tu yeh kis liye???

Yeh jo kaan hain myrey aahton pe lagey hoye

Tu yeh kion bhala????

Yeh jo hoont hain saf-e-dostan mae silay hoye

tu yeh kis liye????

Yeh jo iztraab racha hoa hae wajood mae

tu yeh kion bhala?

Yeh jo sang sa koi aa gira he jamood mae

Tu yeh kis liye???

Yeh jo dil mae dard charha hoa hae lateef sa

tu yeh kab se hae????

Yeh jo putlion mae aks hae koi khafif sa

so yeh kab se hae ???

Yeh jo aankh mae koi barf c hae jami hoi

Tu yeh kis liye???

Yeh jo doston mae nai nai hae kami koi

tu yeh kion bhala??

Yeh jo loog peechay paray hoye hain fazool main

Inhay kya pata

Inhay kya khabar

Kisi raah kay kisi morr pe jo inhay zara

KABHI ISHQ HO TU PATA CHALEY…!!!!

Thursday, February 12, 2009

A Timely Decision :-)

Usay yeh kon samjhaye?

Woh dasht-e-khamoshi main,

Unglion may seepiyan pehnay,

Kisi sookhay samandar ki,

Adhuri pyas ki batain,

Buhut chup chaap sunta hai,

Buhut khamosh rehta hai,

Usay kon samjhaye???

Khushi kay ek aansu say,

Samandar bhar bhi jatey hain,

Buhut khamosh rehnay say,

Tualaq marr bhi jaatey hain !!!

Tuesday, February 10, 2009

Na Pooch

Kitni mushkil say kati kal ki meri raat na pooch,
Dil say nikli hui hontoun mai dabhi baat, na pooch,

Woh kis adaa say meray samnay say guzra abhi,
Kisterah maine sanbhalay apnay jazbaat, na pooch,

Waqt jo badlay, to insaa'n badal jatay hain,
Kiya nahi dikhlatay yeh gardish-e-halaat, na pooch,

Woh kisi ka ho bhi gaya aur mujhey khabar na hui,
Kis terah usnay churaya hai haath, na pooch,

Isterah ek pal mai mujhey baigana kerdiya usnay,
Kisterah apnou say khaayi hai maine maat, na pooch,

Ab tera payar nahi hai to sanam kuch bhi nahi,
Kitni mushkil say bani thi dil ki qainaat, na pooch.

Bikhar gaya

Kabhi maum ban kay bikhar gaya,
Kabhi girtay girtay sanbhal gaya,

Woh ban kay lamha guzar gaya,
Meray paas hi say nikal gaya,

Ussey roktay bhi to kis terah,
Woh shaksh itna ajeeb tha,

Kabhi tarap utha meri aah say,
Kabhi ashq say na pighal saka,

Sar-e-rah mila woh agar kabhi,
To nazar chura ker guzar gaya,

Woh utar gaya meri nigah say,
Meray dil say kion na utar saka?

Woh chala gaya jahan chor kay,
Mai wahan say phir na palat saka,

Woh sanbhal gaya tha Faraz magar,
Mai bikhar ker phir na simmat saka.

Chupkay Chupkay

Woh hata rehay hain pardah, sar-e-aam chupkay chupkay,
Koi qatal horeha hai, dar-e-baam chupkay chupkay,

Yeh jhuki jhuki nigaahien, yeh hasee'n hasee'n isharey,
Kahien lay na jayien shaed, meri jaan chupkay chupkay,

Kabhi shookhiyan dekhana, kabhi unka muskurana,
Yeh adaayien ker na daalien, mera kaam chupkay chupkay,

Yeh jo hichkiyan musalsal, mujhey aarehi hain yaaro,
Koi lay reha hai shaed, mera naam chupkay chupkay.

Koi

Aisa bhi ho jo ussey mila day koi,
Kaisa hai woh, itna to bata day koi,

Sookhi hain buhat din say palkoun ki zameenain,
Buss aaj to jee bher kay rula day koi.

Khabar

Shab-e-Hijran ki aziyat ki khabar kisko hai,
Meri gumnaan muhabbat ki khabar kisko hai,

Kisko ehsas hai meray shidat-e-jazbaat ka,
Meray halaat, meri wahshat ki khabar kisko hai,

Kon weera'n makano ki khabar rekhta hai,
Meri ujri huwi qismet ki khabar kisko hai,

Main nay chup chaap muhabbat kay sitam jhailay hain,
Meri is darja-e-sharafat ki khabar kisko hai,

Kon aa'ye ga aye dil ab tujhko tasalli dainay,
Teri udaas tabiyat ki khabar kisko hai?

Dil ka

Un ka andaz-e-karam, Un pay woh aana dil ka,

Haye woh waqt, Woh batien, Woh zamana dil ka,

Na sunna usne tawajjuh say, Fasana dil ka,

Umar guzri, per dard na jana dil ka,

Dil lagi, dil ki lagi ban kay mita deti hai,
Rog dushman ko bhi bhi ya RAB na lagana dil ka,

Woh bhi apnay na huwey, dil bhi gaya hathoun say,
Aisay aanay say to behter hai, na aana dil ka,

Unki mehfil mai unkeh tabbassum ki kasam Faraz,
Hum dekhtay reh gye jana dil ka..

Friday, December 19, 2008

Ajeeb kurb ka alam hai........

Ajeeb kurb ka alam hai meri basti per

Ghata bhi chaai hai or barsat bhi nahi hoti
Silay hain hont or koi baat bhi nahi hoti

Ajeeb rang badalta hai asar ka suraj
K shaam khafa hai or raat bhi nahi hoti

Main uski zaat ka hissa bhi ban nahi sakta
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti

Sunday, December 14, 2008

Wo Mera Khayal Rakhti Hai

Mai Aaina Hoo'n Wo Mera Khayal Rakhti Hai
Mai Tut Ta Hoo'n To Chunn Kar Sambhal Rakhti Hai

Har Aik Shai Ka Wo Hall Bhi Nikaal Rakhti Hai
Zaheen Hai Mujhey Hairat Mai Daal Rakhti Hai

Mai Jab Bhi Tarq E Taalluq Ki Baat Karta Hoo'n
Wo Rokti Hai Mujhey, Kal Pe Taal Rakhti Hai

Wo Mere Dard Ko Chunti Hai Apni Palako'n Se
Wo Merey Wastey Khud Ko Nidhal Rakhti Hai

Wo Dubney Nahi Deti Hai Dukh K Darya Mai
Merey Wujud Ki Na'o Uchal Rakhti Hai

Dua'ain Uski Balao'n Ko Rok Leti Hain
Wo Merey Char Soo Aisa Hisaar Rakhti Hai

Ik Aisi Dhunn K Nahee Maine Fir Kabhi Bhi Suni
Wo Munfarid Sa Husan'n Mai Kamal Rakhti Hai

Usey Nidamatain Meri Kaha'n Gawara Hai'n
Wo Merey Wastey Aasa'n Sawal Rakhti Hai.

Saturday, December 13, 2008

Mujhy Tum Yaad Atay Ho....

Zara tum sham dhalny do
kay suraj ko to jany do,
parindon ko to urnay do,
zara tum sham dhalny do
Abi to asman ka rang nikhray ga
abi khushboo b bikhray ge,
abi mosam b badlay ga,
abi to chand niklay ga
Abi manzar badalny mai,
zara se dair baki hai
abi dil kay sambhalny mai,
zara se dair baki hai
Chalay aao abi do char pal,
do char sadiyan sath rehnay do
mujhay kuch aaj kehnay do,
bas apnay pass rehnay do
Mujhy itna to kahnay do,
mujhy tum yaad atay ho
bohat yaad atay ho.......

Sunday, November 09, 2008

Shikayat

Wo Chahta Tha Phir bhi Koi Guftugu Na Ki,
Maine bhi Pochney Ki koi Justuju Na Ki,
---
Karta Raha Bayan woh Ghairon K Samney,
Us nay Kabhi Shikayat Mere Rubaruh Na Ki ...
---

Saturday, November 01, 2008

Kabhi woh khafa kabhi main khafa

Youn hi ranjishon main guzar gai zindagi,
Kabhi woh khafa kabhi mai khafa,

Wahmon k har morr per kabhi wo ruka kabi main ruka,
Wohi rastey hain wohi hum, na usey khabar na mujhy pata,

Apni apni ana main gum hain kuch is tarha,
Kabhi woh khafa kabhi main khafa :)

Saturday, October 25, 2008

Nahi milta?

Kabhi kisi ko mukamal jahan nahi milta,
Kahien per zameen to kahien aasman nahi milta..