Monday, April 30, 2007

Ashk

Usey Baarishon ney chura lia, kay wo baadlon ka makeen tha,
Kabhi murr kay ye bhi tu dekhta ,mera wajood tu zameen tha,
Wohi aik sach tha or iss kay baad saari tuhmatein jhoot hain,
Mery dil ko pura yaqeen hai, wo mohabbtaon ka ameen tha,
Usey shooq tha kay kisi jazeeray pe us kay naam ka phool ho,
Mujhay piyaar kerna sikha gaya,mera dost kitna zaheen tha,
Kabhi sahilon pe phirein gay tu, tumhay seepiean hi batayen gi,
Meri aankh main jo simat gaya, wohi ashk sab se haseen tha

2 comments:

  1. Lines 5 & 6 ka connection samajh mein nahn aya? :O Kisi tulip ko Aishwarya ka naam dia gaya tha chand saal pehlay, lagta hai shayar us se mutassir hai? :O

    ReplyDelete
  2. haan albata koi khaas rabt nazr to nhi aata, laiken baaz uqaat shairoun mai khaas rabt na bhi ho to sha'er ka mafhoom samajh mai aasakta hai .

    ReplyDelete