Thursday, January 31, 2013

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain 

-Mohsin Naqvi

Sunday, August 26, 2012

Chalo Bus Ab Maan Jao Na

Nahi Aata mujhe Fun Kisi ko Mananay Ka,
Faqat Itna hi Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Tumharay Nazdeek Agar Meri Hansi Dilkash Hai,
To Main Muskura k Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Agar Tum Dekhna Chaho Mere Aankh Mai Aansu,
Tou Mai Ro Ro k Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Saza Dene Se Hoti hai Gar Tassalli Tumhary,
To Phir Mai Kaan Pakar K Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Dekho Aise Kisi Se Roothna Acha Nahi Hota,
Ab Main Bohat Maan Se Kehta Hon
“Chalo Bus Ab Maan Jao Na”

Tum Gar Chaho k Mere Saans Bhi Na ho Baaki,
To Main Dam-e-Aakhir Kehta Hon
Chalo Bus Ab Maan Jao Na..:(

Thursday, August 09, 2012

Hairani tu jayee

Thehar jao keh hairani tu jayee,
Tumhari shakal pehchani tu jayee,

Shab-e-ghum tu he mehmaa'n ban k aa jaa,
Humaray ghar ki vairani tu jayee,

Zara khul kar bhi ro lenay do hum ko,
Keh dil ki aag tak pani tu jayee,

Balaa say tor daalo aaino'n ko,
Kissi soorat yeh hairani tu jayee....

Wednesday, December 28, 2011

Uski aadat

Uski aadat ha her baat adhori karna,
Or phir baat ka mafhoom badaltay rehna,

Aag se seekh lia ha yeh kareena hum ne
 
Bujh b jana tou bari dair sulagtay rehna

Monday, March 07, 2011

Mohabbat...

Tumhara Naam liya or Ibtida kardi,.,.,

Aaj Ashk bahane ki intiha kardi,.,.

Kaisey kahoon who mere liye jia hi nahi,.,..

Ke jis ke naam pe zindagi fana kardi,.,,.

Udaas Ratoon mein,.,.

Ae saath chorne wale,.,.

Bicher ker tu ne meri Zindagi saza ker di,.,.

Kabhi hanso to us ko nagwaar lagta hai,.,.

Zara bata to mein ne kiya khata kerdi,.,.,

her aik moor per un ga gumaan guzarta hai,,.

Nazar Ae khuda kesi mujh ko ata kerdi,.,.

Tamaam umer hamein bas aik hi kaam raha,.,.,

Uthaaye haath or un ke liye dua kerdi,.,.,..,,.,.