Thursday, February 28, 2008

A jao

Sadiyon say jagi ankhon ko,
Ek baar sulaaney aa jaao,
Maana keh tumko pyar nahi,
Nafrat hi jataane aa jaao.
~~~
Jis morr pe mujhko chor gaye,
Main baithi ab tak soch rahi,
Kya bhool hui, kyon juda huye?
Bas ye samjhaane aa jaao.
~~~
Har lamha teri furqat me,
Main tarap rahi main taras rahi,
Meri maano tum is dil ko,
Kuch pal bahlaney aa jaao.
~~~
Qatra qatra shabnam se pyaas,
Bujhhti nahi barh jaati hai,
Tum apni ek jhalak dekar,
Ab meri pyaas barhaa jaao.
~~~
Shayad ye jeena aasaan ho,
Gar dil me koi armaan na ho.
Meri barhti har hasrat ko,
Haathon se jalaane aa jaao.
~~~
Mujh par laakh sitam dhaao,
Ya dard ke pehloo me rakho,
Issey pehle aankhein moondun,
Mere Khawab churaney aa jaao.
~~~

Akela

Aagahi ke rastey par
Fikr ke dareechon se
Jab kabhi Guzarta hoon
Main Buhat Ulajhta hoon
Kis tarah Yeh mumkin Hai
Aik main akela aur
Aainay ke andar bhi
Aainay ke bahir bhi..

Poet:
Qaiser Munawwar

Thursday, February 21, 2008

SMS Shairi-9

Akser woh meri nazam ka unwaan reha hai,
Laiken woh meri muhabbat se anjaan reha hai,

***

Kuch kaha na is dar say k kahien bura na maan jaye,
Magar woh ab isi baat ka bura maan reha hai ...

***

SMS Shair-8

Mujhey maaf ker meray humsafar,
Tujhey chahna meri bhool thi,

Kisi rah pay jo uthi nazar,
Tujhey dekhna meri bhool thi,

Koi nazam ho koi ghazal ho,
Kahien raat ho kahien seher ho,
Woh gali gali woh seher seher,
Tujhay dhondna meri bhool thi.

Tere gham ki koi dawa nahi,
Mujhey tujhsey koi gila nahi,
Mera koi tere siwa nahi,
Yehi sochna meri bhool thi.

SMS Shair-7

Tum bin meri zaat adhuri,
Jaise koi baat adhori,

Hijr k sarey din hain porey,
Laiken hai har raat adhori,

Lafzoun ki gehrai mai jhanko,
Samjho na har baat adhori,

Num ankhien aur sookhi palkien,
Hoti hai barsaat adhori,

Mujhsey mujhko chain gye tum,
Reh gyi meri zaat adhori.
---

SMS Shair-6

Kabhi lafz bhool jaon, kabhi baat bhool jaon,
Tujhey is qadr chahoun apni zaat bhool jaon,

Uth ker kabhi jo tere pass se mai chal doun,
Jatey huwey khud ko tere saath bhool jaon.

SMS Shair-5

Kal Halki Halki Barish thi,
Kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray thaye,
Kal unmay aapka aks bhi tha,
Kal badal kaalay gehray thaye,
Kal chaand pay lakhoun pehray thaye,
Kuch tukray apki yadoun kay,
Bari dair se dil mai thehray thaye,
Kal yadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tek yeh na suljhi thien,

Kal yaad buht tum aye thaye..
Kal yaad buht tum aye thaye.

SMS Shair-4

Meri zindagi tera Saath ho,
Meri zindagi teri Baat ho,
+++
Jo jhukay nazar tera Khuwab ho,
Jo uthay nazar teri Zaat ho,
+++
Merey haath mai ek Phool ho,
Aur woh phool tera Haath ho.
+++

SMS Shair-3

Barishon keh mausam mai tujhey yaad kernay ki adatien purani hain,
Ab ki baar socha tha keh adatien badal dalien..
Phir khayal aaya keh,
Adatien badalnay sey barishien nahi ruktien .

SMS Shair-2

Kabhi fursatien jo naseeb houn,
Chalo aao kisi roz tum,
---
Keh barey adhorey hain mamlay,
Teri zaat se meri zaat tek.
---

SMS Shair-1

Muhabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai,
Tumhai khona bhi mushkil hai, tumhai pana bhi mushkil hai,
~~~
Udasi terey chehray ki gawarah bhi nahi laiken,
Teri khatir sitarey tor ker lana bhi mushkil hai,
~~~
Zara si baat per ankhien bhigo ker baith jatey ho,
Tumhai to apnay dil ka haal batana bhi Mushkil hai!
~~~

Saturday, January 05, 2008

Barey log?

Bade Logon Se Hamesha Thoda Fasla Hi Rakhna,
Kyo Ke Jahan Dariya Samundar Se Milte Hai,
Wahan Dariya Dariya Nai Rehte....

Saturday, December 22, 2007

Kuch Kehna Chahtay Hain

Suno Hum Tum Se Kuch Kehna Chahte Hain
Is Tees Ko Is Dard Ko Hum Sehna Chahte Hain

Jis Ko Kabhi Sheesha Kabhi Aaina Kehte Ho Tum
Seene Ke Us Muqaam Mein Hum Rehna Chahte Hain

Moujon Ka Dar Nahi Hai Sahil Se Nahi Hai Pyaar
Bas Tham Lo Hume Tum Hum Behna Chahte Hain

Aankhon Ne Baat Karli Nazroon Ne Bhedh Khola
Ab Hont Kaampte Hain Kuch Kehna Chahte Hain

Kya Yaad Karoge Hum Ko Jab Paas Hum Na Honge
Tere Khuwab Mein Khayal Mein Hum Rehna Chahte Hain

Khayal Mein Tere Aks Se Yeh Sab To Keh Chuke Hain
Tere Saamne Gar Ho Ijaazat Kehna Chahte Hain

Saturday, December 08, 2007

Tumharey Baad...

~~~~~
Kia bataon kisko k kia huwa tumharey baad,
Kon janta hai k kia huwa tumharey baad,
Mai hansa, mai khela or muskuraya bhi,
Saathi tum jaisa nahi mila, tumharey baad.

~~~~

Kabhi issey kabhi ussey dil lagatay hain,
Hum bhi banjarey huwey, tumharey baad.

~~~~

Tum to jaa bethay khaboun ki aghosh mai,
Hogye hum hawahoun k dosh, tumharey baad.

~~~~

Aashnai to inse bhi hai or unse bhi,
Muhabbat ki bhi or nahi bhi, tumharey baad.

~~~~

Be-haal to nahi, na-umeed bhi na kaho,
Khaif-e-kismat zaror hain hum, tumharey baad!

~~~~
(~TML~)

Wednesday, October 31, 2007

Apna Bana lo Mujhko

Apni aghosh men ak rooz chopa lo mujh ko
Gham-e-dunya se meri Jaan bacha lo mujh ko,

Un ko de di he isharon men ijazat men ne
Mangney se na milon tu chura lo mujh ko,

Apne sayee se bhi mujhey ab der lagta hai
Ho jo mumkin tu nigahon main chupa lo mujh ko,

Dil mai nakam tamanna'on ka toofan sa hai
Meri uljhan, meri wahshat se nikalo mujh ko,

Un ko likhna hai kisi rooz ye khat maine janna
Hum tu khod bhi nahi rahtey, apna bana lo mujh ko.

(*Anonymous)

Thursday, June 07, 2007

Zamana


Jaane kya mujhse ye zamana chahata hai,
Mera dil tor ker, mujhe harana chahta hai,
Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre se,
ke har shakhs mujhe aazmana chahta hai....

Tuesday, May 01, 2007

tåLååsh

Zårå zårå c bååt pår tåråh tåråh k åzååb kï0n ?
J0 ksï së bhï khfåå nå h0 Mµjåÿ µs khµdå kï tåLååsh håÿ . .
~~~

Mµjëÿ Lågzïsh00n pë hår ghårï k0ï t0ktå håÿ båår båår
Jïsåÿ kår k dïL k0 dµkh nå h0 Mµjåÿ µs gµnnåh kï tåLååsh håÿ . . .
~~~

ßïnå håMsåfår k kµb tåLåk k0ï Mµsååft0n Måïn Lågå rhåÿ
Jåhån k0ï kïsï së jµdå nå h0 Mµjåÿ µs rååh kï tåLååsh håÿ. . .
~~~

Mµjëÿ dåïkh kr j0 ïk nåzår Mërë såråÿ dård sMåjh såkåÿ
J0 ïs kådår h0 chåårå går Mµjåÿ µs nïgååh kï tåLååsh håÿ. .
~~~

Monday, April 30, 2007

Ashk

Usey Baarishon ney chura lia, kay wo baadlon ka makeen tha,
Kabhi murr kay ye bhi tu dekhta ,mera wajood tu zameen tha,
Wohi aik sach tha or iss kay baad saari tuhmatein jhoot hain,
Mery dil ko pura yaqeen hai, wo mohabbtaon ka ameen tha,
Usey shooq tha kay kisi jazeeray pe us kay naam ka phool ho,
Mujhay piyaar kerna sikha gaya,mera dost kitna zaheen tha,
Kabhi sahilon pe phirein gay tu, tumhay seepiean hi batayen gi,
Meri aankh main jo simat gaya, wohi ashk sab se haseen tha