Usay yeh kon samjhaye?
Woh dasht-e-khamoshi main,
Unglion may seepiyan pehnay,
Kisi sookhay samandar ki,
Adhuri pyas ki batain,
Buhut chup chaap sunta hai,
Buhut khamosh rehta hai,
Usay kon samjhaye???
Khushi kay ek aansu say,
Samandar bhar bhi jatey hain,
Buhut khamosh rehnay say,
Tualaq marr bhi jaatey hain !!!
khamoshi ki apni zubaan hoti hai - agar ko sun le to kuchh khatam nahin hota. :)
ReplyDeleteBuss yeh baat sha'er ko samajh nahi na aayi :P
ReplyDeletenice....its true somtim khamoshi se taluk mar bhi jaty hain but i like k koi khamoshi ko samjhy jo bohat kam log hoty hain:P
ReplyDelete