Mai Aaina Hoo'n Wo Mera Khayal Rakhti Hai
Mai Tut Ta Hoo'n To Chunn Kar Sambhal Rakhti Hai
Har Aik Shai Ka Wo Hall Bhi Nikaal Rakhti Hai
Zaheen Hai Mujhey Hairat Mai Daal Rakhti Hai
Mai Jab Bhi Tarq E Taalluq Ki Baat Karta Hoo'n
Wo Rokti Hai Mujhey, Kal Pe Taal Rakhti Hai
Wo Mere Dard Ko Chunti Hai Apni Palako'n Se
Wo Merey Wastey Khud Ko Nidhal Rakhti Hai
Wo Dubney Nahi Deti Hai Dukh K Darya Mai
Merey Wujud Ki Na'o Uchal Rakhti Hai
Dua'ain Uski Balao'n Ko Rok Leti Hain
Wo Merey Char Soo Aisa Hisaar Rakhti Hai
Ik Aisi Dhunn K Nahee Maine Fir Kabhi Bhi Suni
Wo Munfarid Sa Husan'n Mai Kamal Rakhti Hai
Usey Nidamatain Meri Kaha'n Gawara Hai'n
Wo Merey Wastey Aasa'n Sawal Rakhti Hai.
its mind blowing yaar so nice
ReplyDeleteVery nice!
ReplyDelete