Gaye dino ka suragh laiker kidher se aya kidher gya woh,
Ajeeb manoos aadmi tha, mujhey to hairan kergya woh,
Woh mai-kaday ko jaganay wala, woh raat ki neend uranay wala,
Yeh aaj kia uske jee mai aaya k shaam hotey hi gher gya woh,
Woh jiske shano per haath rekh ker safar kia tunay manziloun ka,
Teri gali se na janay kion aaj sir jhukaye guzar gya woh,
Woh hijr ki raat ka taara, woh hum-nafs hum-sukhan hamara,
Sada rehay naam uska pyara, suna hai kal mar gya woh,
Woh raat ka bai-nawa musafir, woh tera shayr woh tera nasir,
Teri gali tek humne dekha tha, phir na janay kidher gya woh...
No comments:
Post a Comment