Monday, April 30, 2007

Ashk

Usey Baarishon ney chura lia, kay wo baadlon ka makeen tha,
Kabhi murr kay ye bhi tu dekhta ,mera wajood tu zameen tha,
Wohi aik sach tha or iss kay baad saari tuhmatein jhoot hain,
Mery dil ko pura yaqeen hai, wo mohabbtaon ka ameen tha,
Usey shooq tha kay kisi jazeeray pe us kay naam ka phool ho,
Mujhay piyaar kerna sikha gaya,mera dost kitna zaheen tha,
Kabhi sahilon pe phirein gay tu, tumhay seepiean hi batayen gi,
Meri aankh main jo simat gaya, wohi ashk sab se haseen tha

Tuesday, February 13, 2007

Adatien...


Meray sabr per koi ajar kia, Meri dopehr pay yeh abr kion,

Mujhey aurhnay day aziatien, Meri adatien na kharab ker....

Friday, February 02, 2007

Bohat roya

aik herf tasalli ka ,aik lafz muhabbet ka
khud us nay apnay liye likha to bohat roya

pehlay bhi shikaston pe shikast khai thi us nay
lekin woh teray hathon haara to bohat roya

Wednesday, January 31, 2007

Khushian

Yeh Log Faqt Khushion Mein Shamil Honey Wale Hain
Ankhon Kay Rung Alag Rakhna, Dil Ke Halaat Alag !!!

Monday, January 15, 2007

ilzaam...

tu jahan bhi rahay sar par taray ilzaam to hai
taray hathon ki lakeeron mein mera naam to hai
tu mujhay yaad rakh narakh ye teri khushi
tu zamanay mein maray naam se badnam to hai

Friday, December 22, 2006

zara khayal rakhna

Raat ho gi to chand duhai day ga,
Khaabo'n mai ek chehra dekhai day ga,
Yeh mohabbat hai zara soch kar karna,
Aik anso bhi gira to sunayi day ga.

Friday, December 15, 2006

Zindagi

Zindagi mohtaaj nahi manzilon ki,
Waqt her manzil dekha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda ho kar,
Waqt sab ko jeena sikha deta hai.

-Pehlay do shair ziada achay hain. Kisi random shaks ki orkut profile say churaya gya hai, kuch spelling mistakes drust kernay k baad:$ :)

Tuesday, August 08, 2006

Isko bhi bachana hai, Usko bhi bachana hai,
Ek terf hum hain, Ek Terf zamana hai.