Wo jo dil main tera maqam he kisi aur ko wo dya nahin
wo jo rishta tujh se he ban gya kisi aur se wo bana nahin
wo jo pyar tujh se ho gya kisi aur se wo hua nahin
wo jo raaz tujh se he keh dya kisi aur se wo kaha nahin
wo jo sukh mila teri zaat se kisi aur se wo mila nahin
tu basa he aankhon main js tarah koi aur aisy basa nahin
tu hua he jitna qareeb tar koi aur itna hua nahin
tera naam dil main he jis tarah koi naam aisy likha nahin
Wednesday, February 09, 2011
:: Zara Tum SHam Hone Do ::
Zara Tum SHam Hone Do...
maIn TiTliOn Ko Sula DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
mai JuGnOun Ko JaGa DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
meri numnaK anKHon Ko..
na Tum DeKHo HaQaraT Se..
maIn TumKO BHi rula DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
KaHan aGhaZ HoTa Hai..
KaHan anJam HOTa Hai..
Hunar Sare SikHa DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
Jo Tumne MujHSe PoOcHa Hai..
KaHan HoGi Tumari SHam..
JaHan HoGI BaTa DounGa...
Zara Tum SHam Hone Do.
maIn TiTliOn Ko Sula DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
mai JuGnOun Ko JaGa DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
meri numnaK anKHon Ko..
na Tum DeKHo HaQaraT Se..
maIn TumKO BHi rula DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
KaHan aGhaZ HoTa Hai..
KaHan anJam HOTa Hai..
Hunar Sare SikHa DounGa..
Zara Tum SHam Hone Do..
Jo Tumne MujHSe PoOcHa Hai..
KaHan HoGi Tumari SHam..
JaHan HoGI BaTa DounGa...
Zara Tum SHam Hone Do.
Nahi likhna.
Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna
Puranay rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna
Anaa se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna
Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe kharii hoon
mujhe mashhoor na karna mera charcha nahi likhna
Ye na ho tum kabhi us ko mitaana chaho, na mitay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna
Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna
Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

Buhat tha.
Tabeer jo mil jaati tu ik khuwaab buhat tha,
Jo shakhs ganwa betha, wo naayab buhat tha,
Main kaise bacha leta bhala kashti-e-diL ko,
Darya-e-Muhabbat main sailaab buhat tha.
Jo shakhs ganwa betha, wo naayab buhat tha,
Main kaise bacha leta bhala kashti-e-diL ko,
Darya-e-Muhabbat main sailaab buhat tha.
Laye shamien guzar deta houn.
Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon..!
Isi Lagan Mein Kaye Shaamein Guzaar Deta Hoon..!
Main Yunhi Her Aik Se Be-Rabt Nahin Milta,
Her Aik Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon..!
Main Gham Ki Kashti Ko Dabona Nahin Chaahta,
Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon..!
Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta Hoon,
Gham Maangey Koi To Udhaar Deta Hoon..!
Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahin HAFIZ,
Khizaan Ke Badley Bahaar Deta Hoon..!
Manana nahi ja ker.
Ab jo roothay to kabhi manana nahi ja ker,
Seh liengay dukh, ussay sunana nahi ja ker,
Laut aye ga zaror ager woh mera huwa,
Aaj say teh huwa, khud bulana nahi ja ker,
Ussey chaha hai, ussey chahtay rehiengay,
Uskay dil mai hai kia, aazmana nahi ja ker,
Milay to barsa diengay hum payar us per,
Nahi to haal-e-dil bhi, batana nahi ja ker,
Ro lia keriengay jee bher ker akeelay mai,
Qatra uski chaukhat mai, bahana nahi ja ker,
Mann mandir sajaye rekhiengay moorti uski,
Dekh sakay to dekhay, dekhana nahi ja ker.

Shukria.
You'n raah-e-wafa ki saleeb per,
Teray do qadam uthanay ka shurkia,
Bara pur khatar tha yeh rasta,
Teray laut janay ka shukria,
Jo udaas hai teray hijr mai,
Jinhay bhooj lagti hai zindagi,
Sar-e-bazm unko dekh ker,
Teray muskuranay ka shukria,
Teri yaad kis kia bhais mai,
Meray shair-o-naghmai mai dhal gyi,
Yeh kamal tha teri yaad ka,
Mujhey yaad aanay ka shukria,
Jo usool tha zamanay ka,
Wo usool tu nai nibha dia,
Yehi rasm thehri hai moa'tabar,
Mujhey bhool janay ka shukria.
Teray do qadam uthanay ka shurkia,
Bara pur khatar tha yeh rasta,
Teray laut janay ka shukria,
Jo udaas hai teray hijr mai,
Jinhay bhooj lagti hai zindagi,
Sar-e-bazm unko dekh ker,
Teray muskuranay ka shukria,
Teri yaad kis kia bhais mai,
Meray shair-o-naghmai mai dhal gyi,
Yeh kamal tha teri yaad ka,
Mujhey yaad aanay ka shukria,
Jo usool tha zamanay ka,
Wo usool tu nai nibha dia,
Yehi rasm thehri hai moa'tabar,
Mujhey bhool janay ka shukria.
Subscribe to:
Posts (Atom)